Gar wafa-e- yar main fana ho jaoon tu amar ho jaoon.
Tasveer-e-yaar ko seene main samaya hai kuch is tarah,
Aaeene main aks ho jis tarah,
gar aks-e-yaar main sama jaoon to amar ho jaoon,
Hum ne to Justajoo-e- yar main sajde kiye hazar,
masjidoon, mandroon, maeqadoon main jate rahe bar bar.
Aye RIAZ gar rah-e-Talashe Yaar main mar jaoon to amar ho jaoon.